Muharram ke Roze

*°°°°°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°°°*
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆     
Muharram ke Roze
Hadees No.1: Huzur ﷺ ne farmaya ki: Ramzan ke baad sab se afzal roza Muharram ke mahine ka hai. (Tirmizi,Hadees No.740)
Hadees No.2: Huzur ﷺ ne farmaya ki: 10 Muharram ka roza ek saal pahle ke gunaah ko mita deta hai.
(Tirmizi,Hadees No.752)
Hadees No.3: Hazrate ibne Abbas radhi Allaho anho riwayat karte hain ki jis waqt Huzur ﷺ ne 10wi Muharram ka roza rakha to logo ne kaha:Aye Allah ke Rasool ﷺ! Is din ki to yahudi taazim karte hain? Aap ﷺ ne farmaya: Agle saal "In sha Allah" ham 9wi ko bhi roza rakhenge.
(Sahi Muslim,Hadees No.2659)
Note: Isi hadees ki bunyaad par ulma kahte hain ki:Muharram me do din 9wi aur 10wi ko roza rakhna sunnat hai.
___________________________
Huzur ﷺ ne farmaya
ALLAH USKE CHEHRE KO HAMESHA TARO TAZA AUR KHUSH RAKHE JIS NE MERI HADEES SUNI AUR PHIR USE DUSRE TAK PAHUNCHAYA. ( Tirmizi, Ibn e maja)
‎جزاك اللهُ خيرًا

Popular posts from this blog

Short Circuit Test in Transformer

Magnetism kya hai and It's Application

Transformer me ferromagnetic material kyu use karte hai?